Chehre Ki Hifazat Cleansing Sey


Chehre Ki Hifazat Cleansing Sey
Log hamara chehra hi dekhtain hain tou zarorat is baat ki hai chehray ki skin ki hifazat aur safaai ka khas khayal rakha jai, is ki aik waja ye bhi hai ke ham din ka ziyada waqt ghar se bahir garmi aur aaloda fiza mein guzarta hai jis ki waja sey din kay ikhtatam par hamari skin buhat kharab ho jati hai, ise cleansing ki zarorat hoti hai, tou ab ghar par hi behtreen cleanser tayyar karain, aur chehra saaf karain.

Ghar per cleansing kay liye dhoodh ya balaai mein lemon ka rus mila kar cleansing kay liye istemal karain. Na sirf jild saaf jo jae gi balkay chehray par ronaq bhi ajae gi.

Chahray par jami dhool aur gard ko saaf kernay ka aik bohat asaan tareeqa ye hay keh aap jau kay atay main chand qatray lemon ka rus daal lain phir iss amaizay say massage krain. Is terah aap ki rangat mazeed nikher jaye gi.

Jau kay attay mein shehad, olive oil aur thora sa paani mila ker amaiza bana lain. Ab is ko chehray par laga kar halke haath sey lgain aur paani say dho lain. Tamaam mail aur gard o gubaar saaf ho jaye gain.

Khashkhaas aur badaam dono ko pees lain aur phir us main dhoodh mila kar achi terha mix kar lain. Raat ko sonay say pehlay isey laga kar massage karain, aur subha ko chehra dho lain is sey chehre ki rangat saaf hogi kyunke ye aik behtereen scrub bhi hai.


Agar aap ki jild hssas hay tou aap ko sabun kay buhat zyada istemal asy guraiz kerna chahiay. Kiyun keh iss say allergy honay kay mawaqay barh jatay hain iss liay ap ko jild kay masail ko hal karnay kay liye qudarti tootkay istemal kernay chahiye. Raat ko sonay say pehlay cleansing karnay say din main


Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post