Choontiyon K Liye Totkay


Choontiyon K Liye Totkay

Jon hi mosam acha hota hai sath hi choontian yani ants gharon pe dhawa bol deti hain aur zindagi mushkil main dal dete hain. Aaj hum apko ant control karne k liye chand asan aur azmooda gharelu totkay bata rehe hain.



Chotiyon yani ants ko control karne ke liye sab se aham baat yeh hai k sab se pehle unn k ghar/bil ko dhoonden.



Mint (Podina ) Ka istemal:

Chootian yani ants podian ki khushbu pasand nahin karteen. Iss liye ghar main, aur khas tour per room entrance ke kareeb mint yani podina laganay choontian nahin aaen gee.



Surkh/ Kali Mirch ka istemal:

Choontian yani ants surkh ya kali mirch ko bardasht nahin kar sakteen. Iss liye ants ke raste per laal ya kali mirch dalnay se chootian bhaag jaen gee.



Sirke (Vinegar) ka istemal:

Vinegar yani sirkey ki smell bhi chootiyan na-pasand karti hain. Iss liye sirke aur pani ka mehlool bana kar chootiyon k gharon k pass chirkne se chootiyan ghar chor ke bhag jaen gee.



Long ka istemal:

Chontiyan long ki khushbu bhi pasand nahin karteen. Iss liye chontiyon ki amaj gahon ke pass long dalne se chotiyan bhag jaen gee.



Dish Soap ka istemal:

3 hissay dish soap aur 1 hissa pani mila kar chotiyon ke raste pe chirke, chontiyan bhag jaen gee.

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post