Deemak (Termite) ka Khatma
Deemak ghar ki lakri ko nuqsaan ponhcha sakti hai aur ghar ka furniture tabah kar sakti hai, iss liye iss ka ilaj bohat zaroori hai. Aaj hum aap k liye kuch aise deemak yani termite control k totkay le kar aa rehe hain jo ke deemak ke khatme k liye nahayet mofeed sabit ho sakte hain.
Ghar main cracks (dararain) na parne den , yeh deemak k chupne ki jagah hoti hai.
Ghar main lakri ka istemal kamm karen.
Ghar main nami wali jaghon ka khatma karen. Deemak nami main khoob barhti hai.
Boric acid ka spray deemak ko maar deta hai.
Agar deemak ghar ke furniture main hai tou ussy tez dhoop main rakhen. 3, 4 din tak yeh amal dohraen.
Koi chipboard ya gatta le kar ussay pani main begoen aur ussay deemak wali jagah k paas rakh den. Jab deemak achi tarah uss pe aa jay , gatta utha kar ghar se kaheen door phenk den.
Agar ye tareekey aur ehteyate kargar na hon tou market se koi deemak yani termite marne k liye spray ya kisi achi company ki khidmat hasil ki ja sakti hain.