Garmiyon Ki Khas Soghat Aam
Har mosam ki aik soghat hoti hai jese moon soon ki soghat barish, sardiyon ki soghat dryfruit, magar garmiyon ki soghat hai sab sey khas aur sab hi shoq sey khatai hain aam. Aam ko phalo ka badsha kaha jata hai, is ka meetha ziqa sab ko be had pasan hota hai aik andaze kay mutabiq aam kay season mein mithaiyan ko frokht mein kami ajati hai aur log aam ko bator methe kay khatay hain, is phal ki sab sey achi baat ye hai ke ye kacha hoto keri ki sorat mein bhi kai tarha kay khano, chtniyon, murabba, achar mein istemal hota hai, aur ise bhi kafi pasand kiya jata hai,aam ki taqreeban 550 iqsam hain magar in mein sey kuch hi ziyada maqbool hain. Pakistan ke aam duniya bhar mein sab sey ziyada pasand kiye jate hain, aur mehnge damon farokht hote hain. to is maze ki soghat ka maza uthain aur ji bhar kar khain.