Lemon kay faiday
Super food mein shamil is phal kay hairat angaiz faiday hain, aur tehqeeq kay natijay mein mazeed samnay arahain hain.
Lemon mein vitamin C , vitamin B6, vitamin A, vitamin E, niacin, copper, calcium, iron, magnesium, potassium, zinc aur phosphorus wafer miqdar mein pae jatay hain. Ye aik phal hai yehi waja hai kay is mein mujood flavonoids jo antioxidant bharpoor hotay hain aap ko cancer, diabetes, high blood pressure aur kidney stone sey bachanay mein madad farhaam kartay hain.
Nizam hazma kay liye behtar hai
Ager aap ka nizam hazma thik nahi hai tou is kay liye lemon sey achi koi medicine nahi, is ka juice khanay mein shamil kar kay nasirf is maslay sey nijat hasil ki jasakti hai balkay constipation ko bhi door Kiya jasakta hai.
Fever kay ilaj mein is ka istemal
Flu, cold aur fever mein is ka istemal na sirf araam deta hai balkay taqat bhi farahm karta hai.
Danton ki hifazat
Ager danton mein drd rehta hai tou isey drd ki jaga par laganay sey aram ajata hai.
Balon ki hifazat bhi
Lemon ko nasirf shoq sey khaya jata hai balkay mukhtalif masail kay liye bhi isey istemal kiya jata hai, jesy ager aap kay baal gir rahain hain ya dandruff hai tou is kay juice ko scalp par lagain, ye balon ki jumla preshani ko door kar kay qudrati chamak ko bahal karay ga.
Skin par nishanat kay liye
Skin par ager mukhtalif nishanat hain tou in par lemon juice lagain ye ahista ahista khatam ho jain gain.
Tags:
صحت