Hichki Rokne Ke Totkay



Hichki ya hiccups lag jana aik aam se baat hai, lakin baaz oqat mehfil main sharmindagi ya kaam main khalal ka baes ban sakti hai. So hichki ko kaise roka ja sakta hai? Hichki rokene ki home remedy ya gharelu ilaj kya hai? Chalain hum apko chand asaan gharelu ya homemade tareekay aur totkay urdu zuban main batatay hain jo hichki rokne ke liye faidamand sabit hote hain.



Kuch dair ke liye apna sans rokna, hichki ya hiccups rokne ka sab se azmooda aur mofeed totka hai.



Baray ghoont le kar pani peena bhi hichki rokne ka aik mofeed totka hai.



1 chamach (teaspoon ) ahista ahista cheene khanay se bhi hichki ruk jati hai.



Leemo (lemon) choosne se bhi hichki yani hicups ko afaqa hota hai.

Jab hichki shuru ho tu shehed ya honey lain.



Kushk bread (double roti) khana bhi hichki rokne ka aik totka hai.



Dono kaan unglion se band karna bhi madadgar sabit ho sakta hai.



Vinegar (sirkay) k 1, 2 drops monh main rakhna bhi hickhki ka ilaj hai.

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post