Aik Adhori Kahani | Episode No:03



Episode No:03

Logon ki awaazein aa rahe thi Ayesha ko, lekin aisa lag raha tha ke uske badan ne uska saath dehne se inqaar kar diya. Saarey ghaarwale aur mehman doosarey kamrey mein chale gae. Ali Ayesha ki taraf mura jab usko yeh ehsaas hogaya ke ghaar wale abhi bohat dour hai. Usne Ayesh se baat cheet karna shuru kardiya.

Ayesha se uski pasand, hobbies, activities, shouq, aur travel karne ka poochta hai lekin Ayesha ka dimag kahi aur hi tha. Yeh baat Ali ko pata chal gae isliye usne foran se Ayesha ki aankho mein deikha aur kaha ke kya tumko yeh shaadi manzoor hai.

Ayesha ke dimaag mein is waqt bohat sari baatein chal rahe thi. Woh chahti thi keh chilaye aur sab ko yeh ailaan kardein ke usko shaadi nahi karni balkeh parhna hai. Lekin usko is baat per khood yaqeen nahi huwa ke uske moo se sirf 3 alfaaz nikale "MUJHE MANZOOR HAI".

Yeh kaise ho sakta hai, Ayesha mann hi mann mein soch rahi thi. Kyon ho raha hai aisa, kyon nahi woh sachi bol pae ke usko shaadi nahi karni. Kya sirf yeh baba ki izaat rakhne ke liye.

Itne mein hi Ayesha aur Ali ke ami abu Mrs. Khan ke saath andaar aa gae. Ayesha ke abu ne Ali se pocha "tou beta kya mein haan samjho?" Ali ney bina kuch bole, apna saar hilaya. Sab ne is baat per aik doosare ko mubarakbaat di aur mithai khilana shuru kardiya.

In sab mein Ayesha ki ami janti thi ke jo ho raha hai woh sahi nahi lekin who Ayesha ke liye kuch bhi nahi kar sakti. 

JARI Hai...

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post