Qudrat nay phalon aur sabziyon mein bay-panah afadiyat rakhi hai. Jo hamain zaiqay kay saath shehet bhi faraham kartay hain, Nashpati un mein sey aik hai. Ye kuch meetha aur tursh zaiqa rakhti hai aur intahai sehat bakhsh hai. Duniya bhar mein is ki 3000 sey ziyada aqsaam pai jati hain.is mein potassium, vitamin C, vitamin K, folate dietary fiber, copper, manganese, magnesium aur B-complex vitamins wafir miqdar mein paye jatay hain.
Heart diseases:
Is mein mujood fiber LDL yani buray cholesterol ko kam kar kay dil ki bimariyon sey bacahanay mein mada faraham karta hai. Is ka rozana istemal stroke kay khatray ko 50% tak kam kardeta hai.
Bacho kay liye behtreen ghiza:
Ye aik mukamil ghiza hai. Isi liye bacho kay liye behtreen hai.
Ammune system ko strong banayen:
Anti- oxidants jesey vitamin C aur copper quwat e mudafiat ko barhatay hain, aur is tarha aap bimariyon sey bachay rehtay hain.
Fever:
Ye bukhar ko kam karnay mein bay-had mufeed hai. Aur bukhar mein sardi kay asraat ko kam karti hai.
Tags:
صحت