Badam Kay Faiday | بادام کے فائدے



Badam kay darkht sey hasil honay wali badam apnay zaiqay, ghizaiyat aur afadiyat ki binapar duniya ki behtreen ghizaon mein shamil hai. Is ka istemal hazarha baras sey kiya jarha hai.



Badam ko raw aur roast, dono tarha sey khaya jata hai, saath hi almond oil aur almond milk bhi bey-panah afadiyat rakhta hai.



Is mein Fiber, protein, fat, vitamin E, manganese, magnesium, copper, vitamin B2, phosphorus wafer miqdar mein paye jatain hain.



Badam khayen calories ghatain:

Is mein mujood carbs, protein aur fiber aap ki bhook ko control kar kay ghiza mein kami latain hain.



Dimaghi seht ki zamin:


Isey dimagh kay liye behtereen ghiza mein shumar kiya jata hai. Is mein mujood Vitamin E aur nutritions umer kay saath honay wali dimaghi bimariyon jesey Dementia aur Alzheimer sey bacahany mein madad faraham kar tain hain.



Heart attack sey mehfooz rakhay:

Is kay regular istemal sey blood mein HDL barhata hai jabkay LDL kam hota hai. Is tarha ye dil ko na sirf bimari sey bachata hai balkey taqwiat bhi faraham karta hai.



Jalalen sey bachay:


Badam mein shamil do eham faty acid linoleic linoleic acid jism mein honey wali inflammation ko khatam khatam karti hai , aur saath hi cancer sey bhi mehfooz rekhti hai.

Is sey bones strong, sugar level control aur blood pressure bhi normal rehta hai.

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post