Herat Angez Transparent Animals - Dilchasp Maloomat - شفاف جانور

Duniya Ke Herat Angez Transparent Janwar - Dilchasp Maloomat

qudrat ki chand takhleeqat hamari soch se bhi kayi ziyada dilchasp aur ajeeb hain- is ki wazeh misaal transparent ya shafaaf janwar hain jin ke tamam androoni Ahza ko dekhnay ke liye kisi machine ki zaroorat nahi balkay sirf insani ankhen hi kaafi hain- shafaaf honay ka matlab hargiz yeh nahi ke yeh janwar chup nahi satke balkay un ki yahi khasiyat inhen dosray janwaron se mehfooz rakhti hai



Transparent Frog

is transparent maindak ka talluq venzella se hai aur yeh maindak ziyada tar halkay sabz rang mein paye jatay hin- in ki transparent jild se in ka dil jigar aur amal inhizam ki naali numaya dikhayi dete hain



Transparent Head Fish

ajeeb gehray pani ki machhli barreleye kehlati hai- is ka sar shafaaf jabkay is ki ankhen roshni ke muamlay mein intahi hassas hoti hin- aur yeh ankhen seyal se bharay maday ke andar hi ghhoomti hain jo ke is machhli ke sar mein hota hai



Transparent Butterfly

yeh transparent titlee wasti America mein mexico se Panama taq payi jati hai -  is titlee ke par transparent hotay hain aur un ke darmain se guzarnay wali nason ke baais yeh par kisi sheeshay ki manind lagtay hain



Transparent Squid

yeh transparent squid nisf janoobi kurrah ke samndron mein paaya jata hai - is ki dono aankhon par roshan Ahza hotay hin- aur is ka shikaar gehray pani mein payi jaany wali mutadid machhliyan hoti hain aur sath sath wheel machhliyan aur samandari parinday bhi



Transparent Zebrafish Created By Scientists

transparent zebra machhli 2008 mein science danon ne takhleeq ki jis ka maqsad barah e raast androoni Ahza ko harkat karte hue dekhna tha- aur yeh sab kuch children' s hospital boston ke mohqiqeen ke liye kya gya



Transparent Icefish

yeh ajeeb al-khalqat machhli antartika aur janoobi America ke ird gird mojood thanday paanion mein payi jati hai - is ki khoraak krill aur doosri machhliyan hoti hin- is transparent machhli ko crocodile icefish bhi kaha jata hai- is machhli ka khoon bhi transparent hi hota hai 



Transparent Amphipod

yeh aik ghair mamooli janwar hai jisay phronima kaha jata hai - yeh haal hi mein shumali oqiyanus ke pahari silsilay ke darmain waqay aik gehray samandar mein se daryaft kya gaya hai - is ke tamam androoni Ahza ko ba aasani bahar se hi dekha ja sakta hai 


Transparent Larval Shrimp

yeh hawai ke ird gird ke paanion mein paaya jata hai - aur yeh dekhnay mein aisa hi nazar aata hai ke jaisay jelly fish nazar aati hai - is andar ka bhi bharpoor muaina kya ja sakta hai 



Transparent Salp

jelly fish ki terhan dikhayi dainay wala yeh janwar salp kehlata hai aur is ki khoraak pani mein paye jaany walay pouday hotay hin- yeh mukammal shafaaf hota hai aur is ki lambai 1 se 10 centi meter taq hoti hai



Transparent Jellyfish




jelly fish har samandar mein payi jati hai aur yeh samandar ki satah se le kar gehray pani taq mein mojood hoti hai - mutadid jelly fish transparent hoti hain aur inhen dekhna taqreeban namumkin hota hai -  tasweer mein dikhayi dainay wali jelly fish jo ke arctapodema genus se talluq rakhti hai 2.5 centi meter taq lambi hoti hai

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post