Molana Ka Dilchasp Waqia - مولانا کا واقعہ - سبق آموز واقعہ

Sabaq Amoz Waqia - Molana Aur Bus Driver - Urdu Islami Dilchasp Waqia

sabaq-amoz-waqia-molana-aur-bus-driver-urdu-hindi

Saalon pehlay ki baat hai. aik molana sahib Bartania mein aik masjid ke imam they. rozana ghar se masjid jany ke liye bas par sawaar hona un ka mamool ban chuka tha .
London pounchanay ke hafton baad, lagey bandhay waqt aur aik hi rote par basoon mein safar karte hue kayi baar aisa huwa ke bas bhi wohi hoti thi aur bas ka driver bhi wohi hota tha .
aik martaba yeh imam sahib bas mein sawaar hue aur driver ko kiraya diya aur baqi ke paisay le kar aik nashist par ja kar baith gaye. driver ke diye hue baqi paisay jaib mein daalnay se qabal dekha to pata chala ke 20 pains ziyada aagaye hain. imam sahib soch mein par gaye
aur phir apne aap se kaha
yeh 20 pains utartay hue wapas kar dein ge kyunkay yeh un ka haq nahi bantaa ". "
phir aik soch yeh bhi aayi ke itnay thoray se paison ki kon parwa karta hai. tansport company un basoon ki kamaai se lakhoon rupay bhi to kmati hai. un thoray se paison se un ki kamaai mein kya farq par jaye ga. mein un thoray se paison ko Allah ki taraf se inaam samajh kar jaib mein daalta hon aur chup hi rehta hon .
bas imam sahib ke matlooba stap par ruki to imam sahib ne utrney se pehlay driver ko 20 pains wapas karte hue kaha
yeh lijiye 20 pains, lagta hai aap ne ghalti se mujhe ziyada day diye hain ". "
driver ne 20 pains letay hue muskura kar kaha ke
kya aap is ilaqay ki masjid ke naye imam hain? ? ?
"! jee haan "
driver bola : mein bohat arsay se aap ki masjid mein aakar islam ke barey mein maloomat lena chaah raha tha. yeh 20 pains mein ne jaan boojh kar ziyada diye they taakay mamooli raqam ke barey mein aap ka rawayya parkh sakun .
imam sahib jaisay hi bas se neechay utre, inhen aisa laga jaisay un ki tangon se jaan nikal gayi hai. girnay se bachney ke liye unhon ne khambay ka sahara liya. aasman ki taraf chehra uttah kar rotay hue dua ki
Ya-Allah mujhe maaf kar dena, mein apne Islam ko 20 pains mein baichnay laga tha ". "

kabhi bhi apne kisi amal ya bat ko haqeer mat samjhiye har choti se choti baat ya amal mein qudrat ki kohi nah kohi Maslehat hoti he. . .

mazeed waqiat aur kahaniyan parhne ke liye yahan click karein
Previous Post Next Post