Most Powerful Army History In Urdu Hindi - Terracotta Army

Duniya Ki Subse Powerful Army - Terracotta Army - History - Urdu Hindi


terracotta-army-terracotta-warriors-urdu-hindi
Ehraam misar science danon ki khaas tavajja ka markaz rahay hain magar 1974 mein China ke shehar xian mein matti ke putlaay milna shuru hue aur aik ke baad aik fouji ke putlaay milnay ke baad poori army ban gayi. har fouji ka patla bohat bareeqi se banaya gaya tha. aisay hazaron fojion ki army larai walay hathyaaron ke sath lais zameen se nikal kar samnay aayi. yeh duniya ki sab pur asraar khojo mein se aik thi. tab se science daan is raaz ko jan-nay ki koshish kar rahay hain. aaj ki is video mein hum jaanen ge is terracotta ki fouj ke baray mein .

Insaan ki mout ke baad kya hota hai jannat ya dosakh magar china ke aik Raja ny socha ke mout ke baad jo bhi ho is ki fouj is ke sath rahay gi is ka naam tha qin shi huang jab logon ko badshah ka bara maqbarah mila to is ke sath kayi barray kamron mein aath hzarse ziyada fojion ke putlaay bhi miley. jo fouji alaat se lais they aur larai ke liye bhi tayyar kharray they. Qin Shi Huang  246 bc mein Raji bana is waqt is ki umar thi sirf 13 saal. apni taaqat se is ny poooray chain par qabza haasil kya. is ny apne daur mein poooray china par hukoomat ki. is douran is ny kayi barray kaam kiye. jaisay wazan aur toal ka universal system banaya. sab ko samajh mein anay wali zabaan tayyar karwai aur great wall of China ( Deewar e Cheen ) tahmeer krai

Apni zindagi ke aakhri ayyaam mein is ny amrat (hamesha zinda rehna) honay ke liye koshishen shuru kar den aur is talaash mein is ny apne aadmio ko pari duniya mein bheja aur isi douran is ny is mqbre ka kaam bhi shuru kardiya. yeh maqbarah is ki pasandeeda cheezon se bhara para hai. is ke sath is mqbre mein poori army hai jo doosri duniya mein hukoomat karne ke liye is ki madad kere gi. sab se ajeeb baat yeh hai ke yeh army poori terhan jung ke liye tayyar khari hai yeh maqbarah sirf fojion se hi nahi bhara para balkay is mein teer andaaz, ghor sawaar ghulam aur Salah car sabhi mojood hain. is mqbre ko bananay ke liye 36 saal aur 8 laakh se ziyada logon ki mehnat lagi. aik aur ajeeb baat yeh hai ke yahan mojood har fouji ka patla aik dosray se mukhtalif hai. un ki vrdyan un ke hathyaar un ki jasamat aur chehrey sabhi aik dosray se mukhtalif hain. science daan mantay hain ke yeh Raja ke haqeeqi fojion ke putlaay hain .



Yeh putlaay kyun banaye gaye they is sawal ka jawab aaj taq aik zaar hi hai. kya iss Raja ko mout se wapas anay ka koi rasta mil gaya tha. kya yeh Raja wapas aeye ga aur apni army ke sath dobarah China par qabza karne ki koshish kere ga .

Agar aapko hamari yeh  post pasand aayi hai isay like aur share zaroor karen.

yahan click krein aur hamari doosri posts read karein

                                                                  UrduHindiAll
Previous Post Next Post