دنیا کا سب سے وزنی انسان - Heaviest Person In The World - Urdu Hindi

The Heaviest Man In The World - Urdu - Hindi - Dunya ka Subse Wazni Insan - Jon Brower Minnoch
Dilchasp Maloomat  

 * * * * duniya ka sab se wazni Insan * * * *

jon brower minnoch

aaj taq ka sab se wazni ensaan 1941 mein America mein peda hwa. jis ka kal wazan 634 kilogram tha aur height 6 foot aur 1 inch thi. 1978 mein woh aik hospital mein daakhil ho gaya jahan woh 16 mahinay raha. isi saal is ne shadi kar ke aik aur record banaya kyun ke is ka wazan to 634 kilo tha lekin is ki biwi ka wazan sirf 49 kilo tha yani miyan biwi ke wazan mein itna farq. is ke ilawa is ka aik aur record bhi hai. kyun ke jab hospital se discharge hwa to is ka wazan sirf 215 kilo hi reh gaya tha kyun ke dieting ke sath is ne har roz apne khanay mein 1200 calories kam karta gaya aur phir is ka wazan 419 kilo kam ho gaya. yeh is ka teesra record tha jis se aik ensaan ka 419 kilo wazan kam ho gaya. is terhan is ne 3 records banaye
 Iski wafat 1983 mein hoee


***** دنیا کا سب سے وزنی انسان*****

Jon Brower Minnoch

آج تک کا سب سے وزنی انسان 1941 میں امریکہ میں پیدا ہوا .جس کا کل وزن 634 کلو تھااور ہائٹ چھ فٹ اور ایک انچ تھی.1978 میں وہ ایک ہسپتال میں داخل ہو گیا جہاں وہ 16مہینے رہا .اسی سال اس نے شادی کر کے ایک اور ریکارڈ بنایا کیوں کے اس کا وزن تو 634 کلو تھا لیکن اس کی بیوی کا وزن صرف 49 کلو تھا یعنی میاں بیوی کے وزن میں اتنا فرق .اس کے علاوہ اس کا ایک اور ریکارڈ بھی ہے .کیوں کے جب ہسپتال سے ڈسچارج ہوا تو اس کا وزن صرف215 کلو ہی رہ گیا تھا کیوں کے ڈائٹنگ کے ساتھ اس نے ہر روز اپنے کھانے میں بارہ سو کیلوریز کم کرتا گیا اور پھر اس کا وزن9 41   کلو کم ہو گیا.یہ اس کا تیسرا ریکارڈ تھا جس سے ایک انسان کا 419 کلو وزن کم ہو گیا .اس طرح اس نے تین ریکارڈ بناۓ اور 1983 میں اس دنیا سے چلا گیا.
Previous Post Next Post