Kana Langra Badshah - Urdu Sabaq Amoz Story - کانا لنگڑا بادشاہ

Kana Langra Badshah - Urdu Sabaq Amoz Story -  کانا لنگڑا بادشاہ

kana-aur-langra-badshah

 ﮐﮩﻨﮯ ﮐﻮ ﺗﻮ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺍﻧﺼﺎﻑ ﭘﺴﻨﺪ ﺍﻭﺭ ﻋﻮﺍﻡ ﮐﮯ ﺩﮐﮫ ﺳﮑﮫ ﮐﻮ ﺳﻤﺠﮭﻨﮯ ﻭﺍﻻ ﺗﮭﺎ ﻣﮕﺮ ﺟﺴﻤﺎﻧﯽ ﻃﻮﺭ ﭘﺮ ﺍﯾﮏ ﭨﺎﻧﮓ ﺳﮯ ﻟﻨﮕﮍﺍ ﺍﻭﺭ ﺍﯾﮏ ﺁﻧﮑﮫ ﺳﮯ ﮐﺎﻧﺎ ﺗﮭﺎ۔
ﺍﯾﮏ ﺩﻥ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﻧﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﻣﻤﻠﮑﺖ ﮐﮯ ﻣﺎﮨﺮ ﻣﺼﻮﺭﻭﮞ ﮐﻮ ﺍﭘﻨﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺑﻨﻮﺍﻧﮯ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﺑﻠﻮﺍ ﻟﯿﺎ۔
ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ﺑﮭﯽ ﺍﺱ ﺷﺮﻁ ﭘﺮ، ﮐﮧ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﻣﯿﮟ ﺍُﺳﮑﮯ ﯾﮧ ﻋﯿﻮﺏ ﻧﮧ ﺩﮐﮭﺎﺋﯽ ﺩﯾﮟ۔
ﺳﺎﺭﮮ ﮐﮯ ﺳﺎﺭﮮ ﻣﺼﻮﺭﻭﮞ ﻧﮯ ﯾﮧ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺑﻨﺎﻧﮯ ﺳﮯ ﺍﻧﮑﺎﺭ ﮐﺮ ﺩﯾﺎ۔
ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ﺑﮭﻼ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﯽ ﺩﻭ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻭﺍﻟﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺑﻨﺎﺗﮯ ﺑﮭﯽ ﮐﯿﺴﮯ ﺟﺐ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺗﮭﺎ ﮨﯽ ﺍﯾﮏ ﺁﻧﮑﮫ ﺳﮯ ﮐﺎﻧﺎ،
ﺍﻭﺭ ﻭﮦ ﮐﯿﺴﮯ ﺍُﺳﮯ ﺩﻭ ﭨﺎﻧﮕﻮﮞ ﭘﺮ ﮐﮭﮍﺍ ﮨﻮﺍ ﺩﮐﮭﺎﺗﮯ ﺟﺒﮑﮧ ﻭﮦ ﺍﯾﮏ ﭨﺎﻧﮓ ﺳﮯﺑﮭﯽ ﻟﻨﮕﮍﺍ ﺗﮭﺎ۔
ﻟﯿﮑﻦ ﺍﺱ ﺍﺟﺘﻤﺎﻋﯽ ﺍﻧﮑﺎﺭ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﻣﺼﻮﺭ ﻧﮯ ﮐﮩﺎ : ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺳﻼﻣﺖ ﻣﯿﮟ ﺑﻨﺎﺅﮞ ﮔﺎ ﺁﭘﮑﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ۔
ﺍﻭﺭ ﺟﺐ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺗﯿﺎﺭ ﮨﻮﺋﯽ ﺗﻮ ﺍﭘﻨﯽ ﺧﻮﺑﺼﻮﺭﺗﯽ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﻣﺜﺎﻝ ﺍﻭﺭ ﺷﺎﮨﮑﺎﺭ ﺗﮭﯽ۔
ﻭﮦ ﮐﯿﺴﮯ؟؟
ﺗﺼﻮﯾﺮ ﻣﯿﮟ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﺷﮑﺎﺭﯼ ﺑﻨﺪﻭﻕ ﺗﮭﺎﻣﮯ ﻧﺸﺎﻧﮧ ﺑﺎﻧﺪﮬﮯ ، ﺟﺲ ﮐﯿﻠﺌﮯ ﻻ ﻣﺤﺎﻟﮧ ﺍُﺳﮑﯽ ﺍﯾﮏ ‏( ﮐﺎﻧﯽ ‏) ﺁﻧﮑﮫ ﮐﻮ ﺑﻨﺪ ،
ﺍﻭﺭ ﺍُﺳﮑﮯ ‏( ﻟﻨﮕﮍﯼ ﭨﺎﻧﮓ ﻭﺍﻟﮯ ‏) ﺍﯾﮏ ﮔﮭﭩﻨﮯ ﮐﻮ ﺯﻣﯿﮟ ﭘﺮ ﭨﯿﮏ ﻟﮕﺎﺋﮯ ﺩﮐﮭﺎﯾﺎ ﮔﯿﺎ ﺗﮭﺎ۔
ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﺑﮍﯼ ﺁﺳﺎﻧﯽ ﺳﮯ ﮨﯽ ﺑﺎﺩﺷﺎﮦ ﮐﯽ ﺑﮯ ﻋﯿﺐ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺗﯿﺎﺭ ﮨﻮ ﮔﺌﯽ ﺗﮭﯽ۔
ﮐﯿﻮﮞ ﻧﺎﮞ ﮨﻢ ﺑﮭﯽ ﺍِﺳﯽ ﻃﺮﺡ ﺩﻭﺳﺮﻭﮞ ﮐﯽ ﺑﮯ ﻋﯿﺐ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺑﻨﺎ ﻟﯿﺎ ﮐﺮﯾﮟ
ﺧﻮﺍﮦ ﺍﻧﮑﮯ ﻋﯿﺐ ﮐﺘﻨﮯ ﮨﯽ ﻭﺍﺿﺢ ﮨﯽ ﻧﻈﺮ ﺁ ﺭﮨﮯ ﮨﻮﺍ ﮐﺮﯾﮟ !!
ﺍﻭﺭ ﮐﯿﻮﮞ ﻧﺎﮞ ﺟﺐ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﮐﯽ ﺗﺼﻮﯾﺮ ﺩﻭﺳﺮﻭﮞ ﮐﮯ ﺳﺎﻣﻨﮯ ﭘﯿﺶ ﮐﯿﺎ ﮐﺮﯾﮟ .… ﺍُﻧﮑﮯ ﻋﯿﺒﻮﮞ ﮐﯽ ﭘﺮﺩﮦ ﭘﻮﺷﯽ ﮐﺮ ﻟﯿﺎ ﮐﺮﯾﮟ !!
ﺁﺧﺮ ﮐﻮﺋﯽ ﺷﺨﺺ ﺑﮭﯽ ﺗﻮ ﻋﯿﺒﻮﮞ ﺳﮯ ﺧﺎﻟﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﺎ !!
ﮐﯿﻮﮞ ﻧﮧ ﮨﻢ ﺍﭘﻨﯽ ﺍﻭﺭ ﺩﻭﺳﺮﻭﮞ ﮐﯽ ﻣﺜﺒﺖ ﺍﻃﺮﺍﻑ ﮐﻮ ﺍُﺟﺎﮔﺮ ﮐﺮﯾﮟ ﺍﻭﺭ ﻣﻨﻔﯽ ﺍﻃﺮﺍﻑ ﮐﻮ ﭼﮭﻮﮌ ﺩﯾﮟ …… ﺍﭘﻨﯽ ﺍﻭﺭ ﺩﻭﺳﺮﻭﮞ ﮐﯽ ﺧﻮﺷﯿﻮﮞ ﮐﯿﻠﺌﮯ !!

Langra Aur Kana Badsha

Sabaq Amoz Urdu Kahani

Aik Badsha Insaf Pasand aur Awam K Dukh Sukh Ko
Samjhny Wala Tha Magar Jismani Tor Par Aik Taang
Sy Langra Aur Aik Ankh Sy Kana Tha.
Aik Din Badsha ny Apny Mulk K Mahir Musawwaro ko
Apni Tasveer Banwany k lye Bulwa Lia. Aur Wo b
Is Shart Par k Tasveer Main Us k Ye Ayoob Na
Dikhai Dain.

Sary Musawwaron Ny Ye Tasveer Banany Sy Inkaar
Kar Dia.Aur Wo Bhala Badsha ki 2 Ankhon Wali
Tasveer Banaty b Kaisy Jab k Badsha Tha He Aik
Aankh Sy Kaana aur Wo Kaisy Usy 2 Taango Par
Khara Hua Dikhaty Jab k wo Aik Taang Sy Bhi
Langra Tha.

Laikin

Is Ijtmai Inkar Main Aik Musawwar Ny Kaha:
Badsha Salamat Main Banaon Ga Aap Ki Tasveer.
Aur Jab Tasveer Tayyar Hui to Apni Khoobsoorti
Main Aik Misal Aur Shahkaar Thi.

Wo Kaisy?

Tasveer Main Badsha Shikari Bana aur Bandooq
Thamy Nishana Bandhy, Jis k Lye Uski Aik (Kani)
Ankh ko Band aur Usky (Langri Taang Waly) Aik
Gutny ko Zameen Par Taik Lagaye Dikhaya Gya Tha.
Aur Is Tarah Bari Asaani Sy Badsha ki Be-Aib
Tasveer Tayyar Ho Gai.

Kiu Na Hum Isi Tarah Dosron Ki Be-Aib Tasveer
Bana lia Krain Khawan Unky Aib Kitny He Wazih Hi
Nazar A Rahy Hon.Aur Kiu Na Jab Logon ki Tasveer
Dosron k Samny Pesh kia Krain.. Unky Aibon ki
Parda Poshi Kr Lia Krain. Akhir Koi Shakhs b to
Aibon Sy Khali Nahi Hota Na. Kiu Na Hum Apni Aur
Dosron ki Musbat Itraf ko Ujagar Krain Aur Manfi
Itraf Ko Chor Dain.. Apni aur Dosron Ki Khushi K
Lye.
Mazeed Kahaniyan Parhne Ke Liye Yahan Click Karein
Previous Post Next Post