Khoon Ka Rishta - Urdu Dilchasp Story - Urdu Moral Story - Saga Bhai - خون کا رشتہ
Kehte hain ke aik din gaon ke kunwein pay ajeeb maajra howa ke jo doll bhi kunwein mein dala jata wapas nah aata jabkay rassi wapas aa jati, saaray log khaufzadah ho gaye ke andar zaroor koi jin jaanat hai jo yeh harkat karta hai, aakhir elaan kya gaya ke jo bandah is raaz ka pata lagaye ga is ko inaam diya jaye ga -aik aadmi nay kaha ke is ko inaam ki koi zaroorat nahi magar woh gaon walon ki museebat ke azale ke liye yeh qurbani dainay ko tayyar hai magar aik shart par, , shart yeh hai ke mein kunwein mein isi soorat utroon ga jab rassa pakarney walon mein mera bhai bhi shaamil ho
is ke bhai ko bulaya gaya aur rassa pakarney walon naay rasa pakra aur aik doll mein bitha kar is bande ko kunwein mein utaar diya gaya, is bande naay dekha ke kunwein mein aik ajeeb qisam ka bandar betha howa hai jo doll se foran rassi khol deta hai, , is bande naay apni jaib ko check kya to usay gurr mil gaya, , is naay woh gur is bandar ko diya yun bandar is se manoos ho gaya, bande naay is bandar ko kandhay par bithaya aur neechay se zor zor se rassa hilaya
gaon walon naay rasa khenchna shuru kya aur jounhi doll andheray se roshni mein aaya woh log bandar ko dekh kar dahshat zada ho gaye ke yeh koi ifrit hai jis ney is bande ko kha liya hai aur ab oopar bhi charh aaya hai, woh sab rassa chore kar sarpat bhage magar is bande ka bhai rassay ko mazbooti se thaamay oopar khenchnay ki koshish karta raha aur oska bhai kinare taq poanch gaya, kunwein se nikal kar is ney bandar ko neechay utaara aur logon ko is bandar ki karstani batee phir kaha ke mein ney isi liye apne bhai ki shart rakhi thi ke agar mere sath kunwein mein koi anhoni ho gayi to tum sab bhaag niklo ge jabkay bhai ko khoon ki mohabbat rokay rakhay gi
yaad rakhen koi laakh achhai kere magar khooni rishte akhirkaar khoon ke rishte hi hotay hain, un ki qader karen
mazeed kahaniyan parhne ke liye yahan click karein
Tags:
Sabaq Amoz Kahaniyan