Hakeem Luqman Aur Ghafil Aadmi - Hakeem Luqman Urdu Sabaq Amoz Kahani

Hakeem Luqman Aur Ghafil Aadmi - Hakeem Luqman Urdu Sabaq Amoz Kahani

ghafil-aadmi-aur-hakeem-luqman-in-urdu-hindi

Hakeem Luqman Aur Ghafil Aadmi

Hakeem Luqman Ki Sabaq Amoz Kahani

Hakeem Luqman K Bary Main Kaha Jata Hai k Aap Bohat Danishmand Thy. Aap K Aaqa Ny Aap Ko Bechny K Lye Pesh Kia To Aik Aadmi Jo Kashtkar Tha Us Ny Aapko Khareed Lia Aur Apny Sath Ghar Lay Gya. Aap Sara Din Uski Khidmat Main Masroof Rahy. Hatta K Raat Ho Gai. Jab Aap Ny Isha Ki Namaz Parhi To Aapka Aaqa So Gya. Lehaza Aap Aik Khali Kamry Main Tashreef Lay Gaye Aur Namaz Ada Karny Lagy. Jab Raat 1 Pehar Beet Chuki To Aap Ny Apny Aaqa Sy Kaha: Ary Aaqa! Jannat Ko Arasta Kar Dia Gya Hai Aur Jahannum Ko Bharka Dia Gya Hai. Jo Shakhs Akhrat Ki Nemton Ko Hasil Karna Chahta Hai Wo Itna Ziada Soya Nai Karta. Malik Ny Jawab Dia Aye Ghulam! Chaly Jao Mera Rab Bohat Ghafoor Ur Raheem Hai. Ye Keh Kar Wo Phir So Gya. Aur Hakeem Luqman Apni Jagah Wapis Agaye. Aur Phir Namaz Main Mashghool Ho Gaye. Jab Raat Ka Dosra Peher B Guzar Gya To Wo Phir Apny Aaqa k Paas Aye Aur Usko Hila Kar kehny Lagy. Jo Waqat Guzar Gya Wo To Guzar Gya. Abi Uth Jaiyen Aur Baqi Waqat Main Allah Ki Rehmat Talab Kar Lijye Aur Akhrat K Lye Kuch Saamaan Tayyar Kar Lain Kiu K Thori He Dair Baad Tujy Akhrat K Safar Par Rawana Hona Hai. Phir Malik Ny Wohi Jawab Dia. Hakeem Luqman Phir Apni Jagah Wapis A Gaye Aur Namaz Ada Karny Lagy.

Raat Ka Teesra Pehar B Beet Gya. Subah Hony K Qareeb Ho Gai. To Aap Phir Apny Malik k Paas Gaye Aur Kaha Mery Aaqa: Ab To Parindy B Apny Ghonslon Sy Nikal Kar Zikar Main Mashghool Ho Chuky Hain. Maalik Ny Jawab Dia Aye Ghulam Mujy Kuch Aur Der Sony Do. Hakeem Luqman Phir Wapis Chaly Gaye Aur Subah Ki Namaz Ada Karny Lagy. Namaz K Baad Apny Kaam Main Masroof Ho Gaye. Itny Main Aapka Aaqa B Bedar Ho Gya. Us Ny Aapko 10 Kilo Jo Diye Aur Kaha k Jao Aur Inko Zameen Main Kasht Kar Do. Hakeem Luqman Wo Jo Lay Kar Apny Parosi k Paas Gaye Aur Jo Usko Dy Diye Aur Us K Badly Bajra Us Sy Ly Lia Aur Zameen Main Bajra Kasht Kar Dia.

Kuch Arsy K Baad Wo Bajra Ugg Aya To Haqeem Luqman Aur Unka Malik Zameen Main Chakkar Laga Rahy Thy Jab Us Ny Zameen Main Bajra Uga Dekha To Kehny Laga Aye Luqman Main Ny To Tujy Kaha Tha K Zameen Main Jo Bona Hai Laikin Tu Ny Bajra Kaisy Bo Dia. Hakeem Luqman Ny Kaha Mera Rab Bara Ghafoor Ur Raheem Hai Wo Zaror Is Main Sy Jo Uga Dy Ga. Malik Ny Kaha Tu Ny Darust Kaha Hai Laikin Jab Tu Zameen Main Bajra Boye Ga To Us Main Sy Jo Kaisy Nikly Ga? Is Par Hakeem Luqman Ny Farmaya: Bilkul Isi Tarah Mery Aaqa Jab Aap Ghafilo Ki Tarah Pary Soty Rahy Gay To Saliheen K Darjy Ko Kaisy Pa Saky Gay Aur Qiyamat k Din Allah Tala Sy Bakhshish Kaisy Talab Karain Gay?

Pyary Dost: Aajkal Hamary Han Ye Baat Bohat Aam Ho Chuki Hai K Hum Gunah Karty Hain Namaz Nahi Parhty Aur Phir Kehty Hain Allah Bara Meherban Hai Wo Hamain Bakhsh Dy Ga. Mery Dosto! Ye Bohat He Bura Kaam Hai K Aik Taraf Ham Allah Ki Khulam Khula Nafarmani Karain Aur Dosri Taraf Kahain k Allah Bohat Meherban Hai. Yaqeenan Gunahgar Aur Perhaizgar Kabi B Barabar Nahi Ho Sakty.

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post