سبق آموز کہانی - کھیر کی دیگ - Urdu Short Story

Urdu Sabaq Amoz Short Story  اردو سبق آموز کہانی  - سبق آموز واقعہ - کھیر کی دیگ 
urdu-hindi-sabaq-amoz-kahani-kheer-ki-daig
Tubewell ke gird gaon ki kuch aurtain kapray dho rahi theen, aik aurat ney doosri se poocha" aaj kya khaya ?" uss ney jawab diya
" koi aik maheena pehlay kheer ki daig utari thi, os din se rozana kheer hi kha rahi hon "
Aik aurat ke kaan mein yeh baat pari to is ney socha mein bhi aisa hi karti hon kheer waisay bhi is ki pasandeeda dish thi. . chunancha is ney ghar pahunchaty hi kheer ki daig utaarnay ka programme banaya. . woh kheer ki daig sab se choup kar maheena bhar akailee khana chahti thi. . lehaza is ney daig pakka kar" tori" walay kamray mein chhupa di. . pehlay din kheer khayi, doosri din bhi khayi, magar teesray din is mein se buo anay lagi majaburan bhari daig zaya karni pari. .. 

aglay din phir se woh tubewell pohanchi to kapray dhotay hue kisi aurat ney isi aurat se pooch liya ke aaj kya khaya? to is ney wohi jawab diya. ." aik mah se har roz kheer kharhi hon "
woh is ke paas gayi aur herani se kehnay lagi" behan mein ney to do din khayi teesray din itni shadeed badboo anay lagi ke majaburan zaya karna pari. .. tumhaarii himmat hai jo aik mah se khaye ja rahi ho "
woh aurat is ki baat sun kar hans pari. . aur kehnay lagi" mein ney aik mah pehlay kheer ki daig utarwa muhallay ke har ghar mein baant di thi. .. is ke baad se rozana jis kisi ghar mein kheer pkti hai woh mere ghar bhi bejhwa deta yai, is terhan har roz kheer khati hon "

dosaron ke khoshi gham mein shareek hon, raah chaltay logon ko salam karen, Aziz o Iqareb ke liye khaas waqt nikalen, mehafilon aur davton ka rivaaj aam karen, muashray ki Falah o behbood par kharch karen, agar aap aisa karte hain to yaqeen karen aap ke" feeling sad" par gardo atraf ka har koi fikar mand dikhayi day ga, raah chaltay hue palat kar najane kitney salam anay lagen ge, khoshi ghami mein khud ko tanha nahi payen ge, mushkil mawaqay par Aziz o Iqareb apni jama poonji mein se bilkul isi terhan aap par kharch karen ge jaissa ke aap ney kya hoga, aap ko har mahfel mein har dawat par madoo kya jaye ga. . .

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post